Home » , » 26th January 2024 Poems and Sayings – Republic Day 2024 English and Hindi Poems

26th January 2024 Poems and Sayings – Republic Day 2024 English and Hindi Poems

26th January 2024 Poems and Sayings – 26th January 2024 English and Hindi Poems Collections, poems for india pakistan, Gantantra diwas Poetry in Hindi | 26th January 2024 Poem For Kids ,school pray ,essay writing ideas

Republic Day English and Hindi Poems

Pandrah August aya.
Hansi khushi sath laya .
Svatantrata Divas pyara,
Tiranga hai laharaya.

Man men hain bhav achchhe .
Saje dhaje hain bachche.
Desh bhakt karm nishtha,
Sahasi sankalp sachche.

Desh ke saput hain ye.
Vishva shanti doot hain ye.
Desh drohiyon ke liye,
kal yamdoot hain ye.

Svarth se hain door bachche.
Prem se bherpoor bachche.
Shan Hindustan ki hain ye,
yogya shur veer bachche.

26th January 2024 Poems

Tiranga bal vriddha aur pure rashtra ki shan hai.
Tiranga pyara hai hamen ham sab ki shan hai.
Jhukane na dengen ise kahin bhi kabhi bhi,
Tirange per her ek bhartiya ko man hai.

Rang keshariya hai prateek shakti sahas ka.
Shvet rang tirange ka hai suchak shanti satya ka.
Urverata pavanata hara rang dershaye hamen ,
Chakra hai prateek dharati per jeevan ki gati ka.

Puri shakti se utha ker gagan men uchhal do tiranga.
Dekhe sampurn vishva asman men fahara do tiranga.
Kurbaniyan bahut di hain deshbhakt veeron ne ,
Josh bharane do rag rag men uncha lahara do tiranga. 


Iss sabha me aaj itni bhid kyon hai
Tirange me lipta hua ye veer kyon hai

Dushmano ko maut ki nind sulane wala
Khoon se lath-path usi ka sharir kyon hai

Jinhe Azadi ka zashna manana tha is varsh
Aaj unka chehra shok se gambhir kyon hai

Kab tab in lashon pe desh shok manayega
Abhi bhi inke pairon me ye zanjeer kyon hai

Karte hain humse vaade hazar dushman humare
Har bar apne vado se jate ye fir kyon hai

Sharahad pe ladne walo ki ye halat dekhkar
Sine me tez chubhta ye teer kyon hai

Lakh samjha lo apne dil ko magar
Aakhon se jhar jhar bahta nir kyon hai

Republic Day Deshbhakti Songs

 Hum nanhe bachche hain lekin,
humse darte talwar teer.
hum vishv-vijeta Bharat ke,
sidhe sachche saahasi veer.
hum mein giri ki unchaai hai,
man mein sagar ka bhara neer.
hum drin pratigya hum kaaljayi,
jo kah dein patthar ki lakeer.
humne har bandhan toda hai,
hum azadi ke raahgeer.
parwaah nahin tan man dhan ki,
masti mein jeete hum fakir.


Badhe chalo badhe chalo.
veer tum badhe chalo.
Bhartiya sapoot ho.
veer kranti doot ho.
jyoti punj gyan ho.
vasundhra ka maan ho.
tum humari shaan ho.
tum bade mahaan ho.
raah mein ruko nahin.
drishti lakshya par dharo.
lakshay ki taraf badho.
badhe chalo........



नन्हे बच्चे


Republic Day 2024 Poems, Poetry, Quotes, Prayers For Kids, Children, Veterans, 26th Happy Republic Day Poems Quotes, Sayings

0 comments:

Post a Comment

Note: only a member of this blog may post a comment.